Friday, October 12, 2012

Painful Love...


Ek pathar se pyaar kiya tha

Dil ne jab ehsaas kiya tha

Har din nikalta khushi se

Jis din se unka chehra dekh liya tha

Hum to ho gaye vivash

Kyunki unhone hamare dil ko kaabu kar liya tha

Unhe dekh kar laga ki yahi hai vo

Par hume kya pata tha ki dil ne gunaah kiya tha

Ik zara si bhool khata ban gayi

Unki bewafai hi meri saza ban gayi

Dil liya aur khel kar tod diya unhone

Hamaari jaan unki adaa ban gayi

Khaamoshi se chaha lekin

Phir kagaz par likh kar izhaar kiya tha

Hum to chahte the ki hamari zindagi ban jaaye

Par yeh unke liye ek beimani ban gayi

Unka hume na samjhna

Unki na ban gayi

 Ab main yahi kahunga doston

Mohabbat bewafa k siwa kuchh bhi nahi,


Duniya gam k siwa kuchh bhi nahi.
Unke pas hamare siwa sab kuchh hai,


Par hamare pas unke siwa kuchh bhi nahi.

Zara sanbhaal kar kadam rakhna is zamane me,

Na karna koi galti anjane me,

Koi rakhta nahi marham dil par DOST,

Logon ko sakoon milta hai dil jalane mein.

Ab anth mein unhe hum yahi kehna chahenge

Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna


Ho Jaaye To Inkaar Mat Karna
Nibha Sako To Chalna Uski Raah Par


Varna Kisi Ki Zindagi Barbaad Mat Karna…


                                                                With Love:-
                                                                      
                                                                   Anmol Bhatia

No comments:

Post a Comment