Wednesday, June 12, 2013

Dedicated To My Friends - Titled 'Yaaron Dosti'

Raah Dekhi Thi Is Din Ki Kabse
Aage Ke Sapne Na Jaane Saja Rakhe The Kabse
Bade Utawale The Jaane Ko
Zindagi Ka Agla Padhav Paane Ko
Par Na Jaane Kyu Dil Mein Aaj Kuch Khayaal Aata Hai
Waqt Ko Rokne Ka Jee Chahta Hai
Jin Baaton Ko Lekar Rote The
Aaj Unpar Hasi Aati Hai
Na Jaane Kyu Aaj Un Palo Ki Yaad Bahut Satati Hai
Kaha Karta Badi Mushkil Se Do Saal Seh Gaya
Par Aaj Na Jaane Kyu Lagta Hai Ki Kuch Peeche Reh Gaya
Kahi Ankahi Hazaaron Baatein Reh Gayi
Na Bhoolne Wali Kuch Yaadein Reh Gayi
Meri Taang Ab Kaun Kheecha Karega
Sirf Mera Sir Khane Ko Kaun Mera Picha Karega
Jahan Do Hazaar Ka Hisaab Nahi Wahan Do Do Rupay Ke Liye Kaun Ladega
Kaun Raat Bhar Jaag Kar Saath Padhega
Kaun Mera Lunch Mujhse Puche Bina Khayega
Kaun Mere Naye Naye Naam Banayega
Main Ab Bina Matlab Ke Kisse Ladunga
Bina Topic Ke Kisse Faltu Mein Bakwaas Karunga
Kaun Kaun Fail Hone Par Dilasa Dilayega
Kaun Galti Se Number Aane Par Gaaliyan Sunayega
Park Mein Baith Ke Slice Kiske Saath Piyunga
Wo Hasin Pal Kiske Saath Jiyunga
Aise Dost Kahan Milenge
Jo Khai Mein Bhi Dhakka De Aaye
Par Phir Tumhe Bachane Khud Bhi Kood Jaaye
Meri Ghazalon Se Pareshaan Kaun Hoga
Kabhi Mujhe Kisi Ladki Se Baat Karte Dekh Hairaan Kaun Hoga
 Kaun Kahega Bhatia Tere Joke Par Hasi Nahi Aati
Kaun Piche Se Bula Ke Kahega Aage Dekh Bhai
Football Main Kiske Saath Khelunga
Kiske Saath Boring Lecture Jhelunga
Professor Ke PJ Pe Rakshas Ki Tarah Kaun Hasega
Match Mein Shart Haarne Wale Ki Treat Is Chakkar Mein Ab Kaun Fasega
Mere Certificates Ko Raddi Kehne Ki Ab Himmat Kaun Karega
Bina Darre Sachchi Raye Dene Ki Ab Himmat Kaun Karega
Stage Par Ab Kiske Saath Jaunga
Juniors Ko Faltu Ke Lecture Kaise Sunaunga
Achanak, Bina Matlab Ke, Kisi Ko Bhi Dekhkar Paagalon Ki Tarah Hasna
Na Jaane Ye Phir Kab Hoga
Keh Do Doston Dobara Sab Hoga
Doston Ke Liye Professor Se Kab Ladh Paayenge
Kya Yeh Din Phirse Aa Paayenge
Raat Ko Do Baje Paraanthe Khane Kon Jaayega
3 Glass Lassi Pine Ki Shart Kaun Lagayega
Kaun Meri Kabiliyat Par Mujhe Bharosa Dilayega
Aur Zyada Udne Par Zamin Pe Laayega
Meri Khushi Mein Sach Mein Khush Kaun Hoga
Mere Gham Mein Mujhse Zyada Dukhi Kaun Hoga
Meri Kavita Kaun Padhega
Kaun Ise Sach Mein Samjhega
Bohot Kuch Likhna Abhi Baaki Hai
Kuch Saath Shayad Baaki Hai
Bas Ek Baat Se Darr Lagta Hai Doston
Hum Ajnabi Na Ban Jaaye Doston
Zindagi Ke Rangon Mein Dosti Ka Rang Phika Na Padh Jaaye
Kahin Aesa Na Ho Dusre Rishton Ki Bheed Mein Dosti Dum Todd Jaaye
Zindagi Mein Milne Ki Fariyad Karte Rehna
Agar Na Mil Sake To Kam Se Kam Yaad Karte Rehna
Chahe Jitna Has Lo Aaj Mujhpar Main Bura Nahin Maanunga
Is Hasi Ko Apne Dil Mein Basa Lunga
Aur Jab Yaad Aayegi Tumhari Yahi Hasi Lekar Thoda Muskuralunga
Anmol Hai Mera Naam
Aur Yeh Tha Mere Doston Ke Liye Ek Chota Sa Pehgaam….


-Anmol