Anmol Bhatia | Poetry And Photography
Thursday, June 13, 2013
Wednesday, June 12, 2013
Dedicated To My Friends - Titled 'Yaaron Dosti'
Raah Dekhi Thi Is Din
Ki Kabse
Aage Ke Sapne Na
Jaane Saja Rakhe The Kabse
Bade Utawale The
Jaane Ko
Zindagi Ka Agla
Padhav Paane Ko
Par Na Jaane Kyu Dil
Mein Aaj Kuch Khayaal Aata Hai
Waqt Ko Rokne Ka Jee
Chahta Hai
Jin Baaton Ko Lekar
Rote The
Aaj Unpar Hasi Aati
Hai
Na Jaane Kyu Aaj Un
Palo Ki Yaad Bahut Satati Hai
Kaha Karta Badi
Mushkil Se Do Saal Seh Gaya
Par Aaj Na Jaane Kyu
Lagta Hai Ki Kuch Peeche Reh Gaya
Kahi Ankahi Hazaaron
Baatein Reh Gayi
Na Bhoolne Wali Kuch
Yaadein Reh Gayi
Meri Taang Ab Kaun
Kheecha Karega
Sirf Mera Sir Khane
Ko Kaun Mera Picha Karega
Jahan Do Hazaar Ka
Hisaab Nahi Wahan Do Do Rupay Ke Liye Kaun Ladega
Kaun Raat Bhar Jaag
Kar Saath Padhega
Kaun Mera Lunch
Mujhse Puche Bina Khayega
Kaun Mere Naye Naye
Naam Banayega
Main Ab Bina Matlab
Ke Kisse Ladunga
Bina Topic Ke Kisse
Faltu Mein Bakwaas Karunga
Kaun Kaun Fail Hone
Par Dilasa Dilayega
Kaun Galti Se Number
Aane Par Gaaliyan Sunayega
Park Mein Baith Ke
Slice Kiske Saath Piyunga
Wo Hasin Pal Kiske
Saath Jiyunga
Aise Dost Kahan Milenge
Jo Khai Mein Bhi
Dhakka De Aaye
Par Phir Tumhe
Bachane Khud Bhi Kood Jaaye
Meri Ghazalon Se
Pareshaan Kaun Hoga
Kabhi Mujhe Kisi Ladki
Se Baat Karte Dekh Hairaan Kaun Hoga
Kaun Kahega Bhatia Tere Joke Par Hasi Nahi
Aati
Kaun Piche Se Bula Ke
Kahega Aage Dekh Bhai
Football Main Kiske
Saath Khelunga
Kiske Saath Boring
Lecture Jhelunga
Professor Ke PJ Pe
Rakshas Ki Tarah Kaun Hasega
Match Mein Shart
Haarne Wale Ki Treat Is Chakkar Mein Ab Kaun Fasega
Mere Certificates Ko
Raddi Kehne Ki Ab Himmat Kaun Karega
Bina Darre Sachchi
Raye Dene Ki Ab Himmat Kaun Karega
Stage Par Ab Kiske
Saath Jaunga
Juniors Ko Faltu Ke
Lecture Kaise Sunaunga
Achanak, Bina Matlab
Ke, Kisi Ko Bhi Dekhkar Paagalon Ki Tarah Hasna
Na Jaane Ye Phir Kab
Hoga
Keh Do Doston Dobara Sab
Hoga
Doston Ke Liye
Professor Se Kab Ladh Paayenge
Kya Yeh Din Phirse Aa
Paayenge
Raat Ko Do Baje
Paraanthe Khane Kon Jaayega
3 Glass Lassi Pine Ki
Shart Kaun Lagayega
Kaun Meri Kabiliyat
Par Mujhe Bharosa Dilayega
Aur Zyada Udne Par
Zamin Pe Laayega
Meri Khushi Mein Sach
Mein Khush Kaun Hoga
Mere Gham Mein Mujhse
Zyada Dukhi Kaun Hoga
Meri Kavita Kaun
Padhega
Kaun Ise Sach Mein Samjhega
Bohot Kuch Likhna
Abhi Baaki Hai
Kuch Saath Shayad
Baaki Hai
Bas Ek Baat Se Darr
Lagta Hai Doston
Hum Ajnabi Na Ban
Jaaye Doston
Zindagi Ke Rangon
Mein Dosti Ka Rang Phika Na Padh Jaaye
Kahin Aesa Na Ho
Dusre Rishton Ki Bheed Mein Dosti Dum Todd Jaaye
Zindagi Mein Milne Ki
Fariyad Karte Rehna
Agar Na Mil Sake To
Kam Se Kam Yaad Karte Rehna
Chahe Jitna Has Lo
Aaj Mujhpar Main Bura Nahin Maanunga
Is Hasi Ko Apne Dil
Mein Basa Lunga
Aur Jab Yaad Aayegi
Tumhari Yahi Hasi Lekar Thoda Muskuralunga
Anmol Hai Mera Naam
Aur Yeh Tha Mere
Doston Ke Liye Ek Chota Sa Pehgaam….
-Anmol
Friday, June 7, 2013
Tuesday, June 4, 2013
Tuesday, May 28, 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)